Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Agar aur jeete rehte, yehi intezar hota ! Tere vaade pe jiye hum, to ye jan jhoot jana, Ke khushi se mar na jatay agar eitebar hota ! ... Teri nazuki se jana ke bandha tha ehd buoda, Kabhi tu na tor sakta, agar astawaar hota ! Ye kahan ki dosti hai, ke bane hain dost naasih, Koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota ! Kahon kis se main ke kia hai, shab e gham buri bala hai, Mujhe kia bura tha marna, agar eitebar hota ! Hoye mar ke hum jo ruswa, hoye kyon na gharq e darya, Na kabhi janaza uthta, na kaheen mazaar hota ! Ye masa'il e tasawwuf, ye tera bayan Ghalib, Tujhe hum wali samajhte jo na bada khuwar hota !